Mohammad Sahib Horse Story

Ek baar Mohammad Sahib apne
ghode(horse) pe kahin ja rahe the..
Beech me hi unki Namaz ka time
ho
gaya.. raste me unhe ek aadmi
mila.
Mohammad Sahib ne us aadmi se
kaha ke bhai meri namaz ka time
ho


gaya hai kirpa kar ke thodi der ke
liye mere ghode ka khayal rakhna
mai namaz aada kar ke aata
hu..Aadmi ruk gaya aur
Mohammad
Sahib namaz aada karne chale
gaye.
Ghode pe Chamde(leather) ki Kathi
(Seat) lagi thi.. Aadmi ke man me
chor aa gaya.. Wo ghode ko paas
ke
bazaar me le gaya aur Kathi bech
di.. Kathi bech ke use 2 aane
(purane
time ke paise) mile.. Wo ghode ko
lekar phir wahin aa kar Khada ho
gaya.
Udhar Mohammad Sahib Namaz
aada kar ke aate hai aur raste me
sochte hai ke Kyu na mai us aadmi
ko 2 aane inaam me de du.. Jab
aate
hai to kya dekhte hai ke ghode ki
kathi nahi hai puchhte hai us se to
wo aadmi jhooth bol deta hai ke
Kathi to thi hi nahi..Mohammad
Sahib to jaani jaan the wo kehte
hai
bhale aadmi milne to tujhe 2 aane
hi the par jo maine tujhe 2 aane
dene the wo teri imandaari ke hote
aur usme bahut barkat honi thi aur
jo tune aise chori kar ke liye hai ye
teri beimaani ke hai aur najayz
hai..
Moral: Hamari kismet me jo likha
hai wo hame milna hi hai par ye
hame dekhna hai ke hum sabar kar
ke use imandaari se lete hai ya
time
se pehle beyimani se hasil karte
hai…
Radha Soami Ji