Mohali satsang ghar opening story

kuch time pehley jab punjab mohali satsang ghar ki opening thi ..Baba ji ka satsang tha...bahut garmi ka din tha, sangat anuman se jyada pahuchi thi,satsang shuru hone hi vala tha, tabhi jab ek documentry film dikhai jati hai,,,,,(nanhi beti ko jivan ka varh do) is se kuch minutes pahle hi ek annocement hui thi, shayad aap me se jo is satsang me shamil the unhone ye suni hogi,,,announcement me bola gaya tha ki koi bhai car parking me ek gaadi [vehicle] hai jiska modal ,no,or colour yeh hai,apni gaadi khadi kar ke aaya hai, jisme koi ek saal ka baccha so ke utha hai or ro raha hai,,to sabhi yeh sunkar sochrahe the ki eese bhi maa-baap hote jo apne bache ki parvah nahi karte...kese maa-baap hai ye.... jab baad me enquiry hui to ek couple ne bataya ki ye hamara hi
baccha ai...ham log ludhiana ke rahne vale hai...or america me rahte hai, ham log babaji ke satsang ke liye special chutiyaan [holidays] lekar aaye hai,,,do din pehle hi hamare bacche ki tabiyat jyada kharab ho
gai,or humne use PGI chandigarh ke hospital me dakhil karva diya, waha uski death ho gai..jiska hamare paas death-certificate bhi hai,, hum hospital se seedha yaha dere me aa gaye ,,,socha jo hona tha woh to ho hi gaya, par hum baba ji darshan jarur karenge, apne dil par pathar rakh kar satsang me aa aye,,,hamare aankon se aasu band nahi ho rahe the ki achanak ek announce ment suni aur hum waha chale gaye...... par us kul-malik ki raza ko kaun janta hai jin hone us death certificate ko jhootha kar diya,,,or
bacha car ki pichli seat par kitne time se leta ro raha thaa,,,,,ye hai hamare babaji ki daya , hum kitna bhi uska dhanaywad kare utna kam hai...wo to ham sub per bahot daya karte hai per humme
pehchanne ki jarurat hai ,,,,, eese hai hamare satguru,,,, baksh le maalik...Radha Soami Ji