Get to Namdan (Guru ki Dayamehar)

Beas se ek gair satsangi (jo satsang nahin suna karta tha) ko Naamdaan lene ki badi tadap uthi, wo pahli baar pesh hua to usko naamdaan dene se mana kar diya gya, aur jab dusri baar pesh hua to bhi usko mana kar diya gya , Pesh hote hote usko 25 baar ho gayi lekin har baar usko mana kar diya jaata tha. Par usne bhi faisla kar liya tha ki Naamdaan to leke hi rahna hai chahe job hi ho jaaye….
Jab wo 26th baar naamdaan k liye line mein laga to is baar usko mana nahin kiya gya aur uski ardaas sweekar kar li gyi.

Fir Jab Baba ji ne usko Naam Daan diya to usne Baba Ji ko arz kiya ki Jab aapne NaamDaan dena hi tha to mujhe itni baar mana kyun kiya, Baba ji ne baat talne ki koshish ki aur kaha ki Bhai ye swaal mat hi pucho , tumhe naamdaan chahiye tha wo tumhe mil gya ab aur kya chahiye?? Ab tum jao, Lekin us bande ne baar baar arz kiya aur binti ki – nahin ji pahle aap mujhe batao ki itni late naamdaan kyun diya ji ??
(Saadh sangat ko yaad hoga ki Guru Arjun Dev Maharaaj ji ko Musalmano ne Garam Tawe par bithaya tha..)
Baba ji ne us bande ko kaha ki Bhai jab mujhe Garam Tawe pe bithaya gya tha tab rait ki 25 kadshiyan tune bhi daali thi.. to tumhara us baat ka bhugtaan karwaya hai…..wo banda ye baat sun ke rone laga aur Baba ji ke pairon mein gir gya…
DEKHO GURU KI DAYAMEHAR KITNI HAI, WO HAMARE GUNN – AWGUNN NAHIN DEKHTE, BAS DEKHTE HAIN TO PREM AUR PYAAR, AUR KAISE BHI KARAM HO FIR BHI HUM PAR DYA MEHAR KARTE HAIN.
YE HAI GURU KA BADAPPAN, UNKE PAAS TO DAYA HI DAYA HAI CHAHE JEEV KAISE BHI HO.