Batala City Satsung Main lady

Ek Baar Batala city mai ek musalman lady, jiska naam bibi Hashmat tha, aur wo satsangiyo ke sath dera ayi this usne satsang suna aur naam bi liya , naam lete samay us bibi nai bataya ki wah musalman hai , to Huzur nai pucha ki tere ghar wale tuje pareshan to nahi karenge, usne dilare se jawab diya, “ Mai to Rab ka naam le rahi hu. Rab ka naam lena koi gunah to hai nahi ki mujhe log pareshan kare. Huzur uske jawab se bahut khush hui aur naam pradhan kar diye.
Wah bibi himmat wali thi aur mahanti thi, wapar ghar akar badi lagan ke sath niyampurvak bhajan simran karne lagi. Bibi hashmat nai khub mahnat ki, usne apne ghar mai maas machli banane ko inkar
kar diya, satguru ki kripa se uske pati nai bhi koi khas aitraj n kiya aur ghar mai shanti bani rahi. Jis bhag mai hashmat bibi ke pati kaam karte they vaha ek maulvi saheb rahte they. Ek din puchne lage ki bahut din se hasmat bibi ko nahi dekha wah raaji to hai na ? pati nai jawab diya ki din raat allah ki ibadat mai rahti hai, aur usne ek sikh mahatma to apna guru bana liya hai. Maulvi saheb ko pata chale ki use maas machli nahi khati Maulvi aur Brahman to karmkand ke kaide hote hai ve bala is baat ko kaise bardash karte, Maulvi saheb ne hashmat ke pati ke kaan barne shuru kar diye aur unke ghar mai Ashanti fail gayi, aur Maulvi saheb ne to yah tak kah diya ki inka talak ho jana chaiye. Aur hashmat bibi ko ghar se nikal dena chaiye. Hasmat bibi bal bacho wali jaye to kaha jaye, wo dukhi aur pareshan hokar guru ke paas ayi aur guru say sari baat kahi, huzur nai use dilasa dilaya aur kaha bhajan simran karti raho, aur apne pati ko samjane ki koshish karo aur unke kahne anusar kaam karti raho. Bibi Hashmat ghar agayi Maulvi saheb nai apne shabado mai kaha ki, jaab mai rafal padhne laga, to kothri mai ekaek bijli jaise tej roshni hui aur usme ek shakas nikla, jiski safed dadi thi, kad lamba tha aur safed libas pahene tha , use dekh kar mai gabra gaya aur kalma, namaz sab bhul gaya, maine unse hath jod kar arz kiya ki aap kon hai aur kya chahte hai, maine apka kya bigada hai, Us bujurg nai jawab diya tu khuda ke aziz bando ko pareshan karta hai, subah hote hai hasmat bibi se aur unka pati se maafi mango, apni galti sweekar karo aur uko hame paas pahuchao. Itna kah kar wo buzurg gayab hogaye. Jaise subah hogi bibi hashmat aur unke pati Maulvi saheb ke paas hi arahe they, Maulvi saheb darne lage Kai kahne se pahle hi, hasmat bibi nai kaha ki Murshid ka hokum hai ki darbar mai hazir ho jayo. Wey dere ka liya ke kuch fasle par hi they to Maulvi saheb nai Huzur ko dekha aur sochne laga ki ye to vahi buzurg hai jo raat ko aye they, ate hi huzur ne maulvi saheb ko kaha aap aye acha laga, aur unhone Miya Mirgdin ke havale kar diya aur kaha ki inka achi tarah khayal rakho. Aur huzur ne use naam baksh diya.