Aaj satsang mai pachwi patshai ji ki bani " aad niranjan nirankar" shbad par satsang hua. Babaji ne kha hame guru shab smjhate hai ki hame kis ki puja karni hai. Malik to ek hai. Ham ne apny bhasa ke mutabik us ke anek naam rakhe hai. Sab ne us ke alg alg naam takh diye hai. ham naam chaye kai rakh le par hane us ek ka hi simran karna hai.
Aaj ham malik ko bhool dunya dari nibhane mai lage hai. Jitna samhye ham dunyadari nibhate hai kya us ka thoda samhye ham malik ko dete hai. Hame dolat chahye,shorat chahye malik chye. Malik chaye to use sahye dena hoga simran ko. Ham kisi di dhram se sband rakhte hai par use ek hi tarike se pa sakte hai bhjan simran se.
Guru koi had mass ka nahi bana hota. Guru to ek sach hai. Jo badal sakta ho wo guru kase ho sakta hai. Sach ti malik hai.
"Aad sach jugad sach nanak hosi bi sach"
Jo sach hai wo sach hi rahe ga hmare manne ja na manne se sach jhuth ni ho jata. Hame apne ander se us ruhanyat ko jgana hai. Jo sach hai jo hmare ander hai. Ham khate hai ki malik chaye ga to simran khud hone lage ga. Par yah to karni nahi hai. Karni to khud karni padti hai. Jab tak ham bhjan simran par baithe ge hi nahi to ruhanyat ki aur kase jaye ge.
Aksar bache qustion karte hai baba ji hame yah karna hai. Wo apny soch ja apne mata pita ki shalah se qustion pushte hai. Akser kahta hu ki mehnat karo. Par koi bacha ase ni bolta ki hanji mai mehnat karuga. Sab ase bolte hai ki aap dya karo. Yah dya karo to aap depaand ho gye yaha aap ki karni kaha hui. Ek bacha agr apne mata pita par depand h or bache ko koi dunya dari nahi malum ase me agr us bache ke mata pita ka bulawa aa jaye to wo jase jee ga. Kyu ki wi kabi independ hua hi nahi.
Kisi par depnd hona acha nahi hai. Khud mehnat karo. Jab bache bade ho jate hai dunyadari me pad jate hai dolat shirat kamane me itne biyast ho gye hai ki un ke pass apne mata pita ke liye bi samhye nahi hai. Jish din un ko samhye milta hai mata pita pass baithte hai to bohat khus hote hai. Ase hi jab ham dunya dari se time nikal kar malik ka simran karte hai to wo bi bohat khus hote hai.
Akser khate hai satsang suna aaj wohi bate hi hoty hai satsang mai. Par kya ham satsang ki baato ko amal me late hai. Satsang suna bhar jate yah tak bhool jate hai ki aaj satsang mai shbad kon sa liya tha. Baate yaad rakhna to door ki baat hai.
Ham dusro ke bare bohat kush bolte hai ise naam daan kase mila. Ham to satsangi hai ham ne naam daan leke kya kar liya. Bas save karke rakha hai use nahi karte. Ruhanyat karni ka rasta hai parem ka rasta hai. Agr ruhanyat me tarki chahte ho to simran ko uchit samhye do.