Karachi Story of Maharaj Sawan Singh

******************** RADHA SOAMI JI ************************* RADHA SOAMI JI ***********************
Huzur maharaj Sawansingh ji ke waqt ki bat hai.
Us samay Karachi me do sindhi satsangi rahte the ek Deewan Bhavnani aur Dada Leelaram. Deewan sahib ke ladki ki shadi thi.
Us bare me Huzur ne Deewan sahib ko chitthi likhi,
" Mai sirf tumhari beti ki shadi me sharik hone ke liye aa raha hu, pata nahi mai satsang kar salunga ya nahi, so akhbaro me is bat ki koyi khabar mat dena"
Jab Huzur ji Karachi pahunche to waha ke 15 - 20 satsangi yo ne satsang karne ki binti ki. Par Deewan sahib ne kaha " satsang nahi hoga kyoki maine akhbaro me is bare me koi khabar nahi di, so kisi ko pata hai na koyi ayega"


Huzur ji ne farmaya " Aap 1 din ka Intzar kare. Koyi ' Bhale' log aakar mere satsang ka dhindhora pitwa denge"
Aisa hi hua Huzur ji ke virodhi aa pahunche unonhe Dhol baja kar Ailan
kiya, " Falana aadmi shahar me aya hua hai, na us se koyi milne jaye nahi uska satsang sune. Woh Guru Nanak sahib ki vani ke galat arth karta hai aur logo ko Gumrah kar raha hai"
Natja yah hua ki Hazaro log satsang sun ne aagaye.
Is tour me Huzur ji ne 9 - 10 satsang kiye.
Huzur ji ne Deewan sahib ko kaha,
" Dekho, meri advt.comp. ni aa pahunchi hai. Yeh log khud hi mera prachar karne ke liye pahunch jate hai"
******************** RADHA SOAMI JI ************************* RADHA SOAMI JI ***********************